DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 803,Hadees No :2719,*

Hazrat Abdullah Bin Qais(raziyallahuanhu) 
se rivayat hai,kaha,
Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Yaqeenan Jannat me 2 Qisam ki Jannate Hongi, jisme Ek Jannat ki Bartane Sone(Gold) ki hongi aur Doosri Jannat ki Bartane Chandi(Silver) ki hongi,Aur Ahle Jannat Allah ka Deedar Jannate Adan me karenge unke Darmiyan Kibriyai (Rabb ki Badai) ki Chadar hogi. 
(Vol/2,Hadees No:2719),
Dars : Bandah Dunya me Jitni ziyadah Allah ki ibadate karega aur uske Ahkamaat pe chalega phir apne Jism aur Maal ko Allah ki Raah me lagayega to Allah Uske Marne ke Baad bhi Akhirat me usko utna hi ziyadah Nemato se Nawazega, isi liye Jannat me Do qisam ki jannate yani waha us tarah Nemate hongi, 
Baaz Ulama e kiram ne likha hai,ke 2 Qisam ki jannato ka Matlab Nemate 2 tarah ki hongi usko Har Jannati istemal karsakta hai,isme koi Khaas ya Aam ka farq Nahi hoga…
●● Jannatiyo keliye Sab se Badi Nemat jannat me Allah ka Deedar aur Rasoolullah sallallahualihiwasallam hoga,in nemato me Bandah magan rahega.
Allah hame bhi Jannat me apna Deedar aur Rasoolullah sallallahualihiwasallam ki rifaqat naseeb kare..Ameen Ya Rabbi. 
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com

You might also like