DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 804,Hadees No :2720,*

Hazrat Abdullah Bin Qais(raziyallahuanhu) 
se rivayat hai,kaha,
Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jannat me Motiyo ka Ek Bada Khaimah(Tent) hoga ke uski Chavdayi(width) 60 Mail hogi aur uske Kayi Hisseh honge aur Har Hisseh me Jannati honge, Aur wo Ek Doosre ko Dekh sakenge Waha Unke Paas Momin Bandeh unki ziyarat keliye ayenge.
(Vol/2,Hadees No:2720),
Dars : Ye Jannat ke ye Bade Bade Khaime Momino ko is baat ke talqeen karte hain,ke Deen keliye Jitni tangi dunya me aaye to sabr kare kyu ke Jannat me uske Badleh dugni Khushadi wa Khushhaali ayegi.
Allah hame Deen ki Har mushkil per sabr karne wala banaye..
Ameen ya Rabbi..
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com

You might also like