DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 816,Hadees No :2739,*

Hazrat Sulaiman Bin Buraidah (raziyallahuanhu) 
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) se Ek Shaks ne Sawal kiya ke Kiya Jannat me Ghoda(Horse) hoga? to Apne ne farmaya: 
Agar aapko Jannat me Dakhil kare phir aap Laal Yaqoot me Ghode per sawar hona chahe to Wo Aap Jannat me jaha chahoge waha tumko lejayega,
Ye Sunkar phir ek Shaks ne sawal kiya ke : kiya Jannat me Woont (camel)honge? To Aapne is baar pahla wala jawab Nahi diye Balke farmaya: Agar Allah tumko jannat me Dakhil kare to Jannat me Jo Tumhara Dil chahe aur Jisko Denkhne se tumhari Aankh khush hoti ho wo Sab milega.
(Vol/2,Hadees,No:2739),
Dars : Jannat me Bandeh ki Sonch se bhi ziyadah uski Chahi Jani wali nemate milengi ke jiska Bandah Andazah bhi Nahi karsakta hai,kyu ke Jannat Jaza ka Maqam hai,waha Rahmat hi Rahmat Nemat ki shakal me hongi,
●● Sawari ho ya Sawar jo chahe Bandeh ko milegi kyu ke Allah Jannati shaks ko Na raaz Nahi karta hai,aur Na hi uski koi khashish ko adhoora Bandah jo Chahta hai,Allah usko Ata karta hai.
Allah hame zameen per Allah wala banaye..Ameen ya Rabbi..
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like