DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 817,Hadees No :2741,*

Hazrat Abu Ayyub (raziyallahuanhu) 
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) se Ek Shaks ne Sawal kiya ke Mujhe Ghoda Bohat Pasand hai,Kiya Jannat me Ghoda(Horse) hoga? to Apne ne farmaya: Agar Tum Jannat me dakhil kiya jaye to Tumhe waha Yaqoot Motiyo wala Ghoda Ata kiya jayega jisko 2 Par(wings) honge phir Tum jaha chahoge wo tumhe waha lekar udega. 
(Vol/2,Hadees No:2741),
Dars: Jannat me Ghode bhi honge aur Doosri Nemato ke Jode bhi honge jo wo Chahega Dugni Quwwat ke saath ata kiya jayega,aur Jannati shaks ki Har Khahish ko waha isliye puri ki jayegi kyu ke wo Apne Saari zindagi Allah ki Raza me guzar deta hai,
●● Ye Jannat ki Nemato ka zikr isliye kiya jata hai,taake Momin Bandeh ko Jannat ki Haqeeqat wa Shaan Maloom ho aur Jab Duyavi Mushkile Deen ke Ahkaam per Chalne me Takleef dene lage to in Nemato ko Yaad karle taake ye Waqti Mushkilo se Najat aur Dayimi Nemato ke Husool me Mazeed izafah hosake Jo ke insaani fitrat ka taqaza hai.
Allah hame jannati Nemato se Maala Maal kare..Ameen ya Rabbi..
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like