DARSE JAMIUT TIRMIZI

 

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
*DAY : 827,Hadees No :2754,*

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jannat me Jannati log apne Kamro(Room) se ayse Nazar ayenge jaisake Aasman per Sitare Nazar aate hain,jo wo Apne Buland Darjo per Fayiz honge to aap se sawal kiya gaya ke kiya wo Ambiya e Kiram honge ? To apne farmaya: Haan..Wo Ambiya e kiram honge,Allah ki qasam us darjeh me Har wo Bandah hoga jo Allah,Rasoolullah (sallallahualihiwasallam) aur saare Rasoolo per Eiman layega.
(Vol/2,Hadees No:2754),
Dars: Eiman ek aysi Nemat hai,ke Uski Ahmiyyat usi waqt pata chalti hai,ke jab hum uske taqazo ko bhi pura kare,Namaz,Rozah,Zakat, Hajj,Ache Akhlaaq etc..Ibadato ko Baja laye to uski Lazzat wa Halawat Naseeb hogi aur uski Azmat wa shan bhi maloom hogi,aur Akhirat ki Nemate Nabiyo ke qurbat me Ata ki jayengi.
Allah hame Nek Aamal ki taufeeq ata kare..Ameen
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like