DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
DAY : 836,Hadees No :2766,*

Hazrat Abdullah Bin Mas’ood (raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : 3 Log Allah ke Paas Mahboob hote hain,
1) Jo Raato me Ibadat kare aur Quran ki tilawat kare,
2) Jo Apne Seedhe Haath se is tarah Sadqah de ke Baye Haath(left Hand) ko pata hi Na chale,
3) Jo Kisi Jang me ho,uske Saathi Na Kaam hojaye phir bhi wo Dushmano ka Muqablah Kare.
(Vol/2,Hadees, No: 2766),
Dars : Raat Ek Aysa Waqt hai,Jab Saari Makhlooq Soyi huvi hoti hai,per Allah ki Khaas Rahmat Zameen per Nazil hoti rahti hai,Bus Jo Raat ke Andhero me Ibadat kare aur Raat ki khamooshi me Quran ki tilawat kare to Zahir me wo tilawat karta hai,Haqeeqat me wo Rabb se Baate karta hai,To usko Rabb ki guftugu,Rahmat aur Mohabbat bhi Naseeb hojati hai,
Per Hamara Raat ka kiya Moamlah hai…?
Kin Cheezo me Raat guzar rahe hain?
Sone se pahle kis Cheez ka wird kar rahe hain ?
Kahin koi Buri Cheez ko dekhne aur Bekar baato me to hamari Raat Nahi guzar rahi hai ?
Agar Sahi Tareeqo pe hamari Raate guzarti ho to Hamare Liye Rahmat hai,warna Dunya me Zaleel honge aur Akhirat me bhi,
●● Sadqah dena Ibadat hai,magar Riyakari aur Chupa kar dena Afzal ibadat hai,Aur Sadqah dekar Ehsaan Na jatana us se bhi Afzal hai, magar jo Sadqah dekar Ehsaan jataye ya Dkhava Kare to uska Sadqah Na dena Behter hai,warna wo Riyakari ki saza ka mustahaq hojayega,
Magar jo Baaz mauqeh izhar ke Alawah koi charah Na ho to uski ijazat hai,
■■ Himmat wala Bandah Allah ke paas Kamzor Momin se Mahboob hai,to Jang ke maidan me ho ya Zindagi ke kisi mushkil Tareen waqt me ho Allah ki Madad ki umeed rakhte huve Aage Badhne me hi kamiyabi hai,Aur Allah ki Mohabbat bhi Naseeb hoti hai.
Allah hame in Teeno sifat per utarne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All for more visit our islamic website
www.anwaarulislam,com.

You might also like