DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
DAY : 837,Hadees No :2769,*

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jannat ki Nahro ko Sone se Bhar diya jayega Lekin Us se waha Koi kuch Bhi Nahi lega.
(Vol/2,Hadees, No:2769),
Dars: Gold ki qeemat Yahi yani Dunya me hi log lagate hain,air usko Badi Ahmiyyat bhi dete hain,jabke uski khatir Apne Rishtehdar O aur Azeezo se Ta’alluq tak tod lete hain,jabke Akhirat me uski Koi Qeemat hi Nahi hoti hai,aur Na hi uske Baare me koi poochte hai,kyu ke Jo Deen ko Thaam lega uske Saamne Dunya ki Har Cheez Choti hojati hai,aur uske Taabe bhi hojati hai,to Momin Bando ko Akhirat ka moamlah Saamne rakh kar Kaam karna hai,na ke Dunya ko..
Allah hame Nek Aamal ki taufeeq ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like