DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
DAY : 842,Hadees No :2776,*

Hazrat Utbah Bin Ghazwan(raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jahannam ke Kinare pe Ek Gahri Chatan hogi jis ki Tah ko Pahoncne me 70 Saal lag jayenge.
Ye Sunkar Hazrat Umar (raziyallahuanhu) ne kaha : Kasrat se Jahannam ka zikr kiya karo kyu ke Uski Garmi Bohat Sakht,Uska Gada Bohat Gahra aur Uske Gurz(Hathode) lohe ke hain.
(Vol/2,Hadees No:2776),
Dars:Jahannam ke Gadhe ke jahan uski Gahrayi itni Taveel wa gahri hai,to wahi uske Chote Chote Chatano ki lambai bhi usi QADR taveel hai,jis se Jahannam ki sakhti wa shiddat ka pata chalta hai..!!
●● Jo Bhi Dunya me jitni Hi Chalaki se Apni Zuban Darazi,Taana Baazi,Dhoka Dahi,Aam wa Bebaso per Apni Jismani wa Maali taqat se Zulm karenge unke Us Amal ke Ba Qadr Jahannam me Zaroor saza di jayegi,aur usko waha Kuch Na kuch waqt zaroor guzarna hi hoga,
■■ Kuch Nek Kaam karke Jannati hone ke Parvana leke Baaz log Dunya me apni Tareefe wa Mansab ka muzaharah karte hain,jo Munasib Nahi hai,kyu ke Rasoolullah sallallahualihiwasallam aur Sahaba e kiram raziyallahuanhum ki Mubarak zindagiya hame marte dum tak Nek Aamal karne, Burai se rukne aur Jahannam se Najat maangne ki taleem di hain,aur Hamesha Allah se apne Gunaho se Bakhshish ki dua maangna hai,Hisab Duyna me Nahi Balke Akhirat me hone wala hai.
Allah hame Nek Aamal ki taufeeq ata kare Ameen.
Plz..Share it to All for more visit our islamic website.
www.anwaarulislam,com.

You might also like