DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
DAY : 851,Hadees No :2788,*

Hazrat Ibne Abbas(raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jahannam me Zaqqum Naami Darakht(tree) hai,Jo Gunahgaaro ki Ghiza hogi,Agar uska 1 Qatrah(1 drop) Dunya walo per Daal de to Uski wajah se Dunya walo ki Saari Ghiza Khatam hojayegi to Samjho ke Usko Khane wale ka kiya Anjam hoga.
(Vol/2,Hadees, No:2788),
Dars : Zaqqum Naami ye Darakht ke Baare me Kitabo me aya hai,ke wo Darakht Kaanto dear aur Bohat hi Sakht Kadwa hoga,jiska 1 Qatrah Dunya me Daalne se Dunya walo ki Ghiza ka khatam hojata matlab Dunya me Phir koi Phal ya Phool dear Darakht aur Doosri Ghiza ke ASBAAB paida Nahi honge Balke uske Sabab khatam hi hojayenge,to Jab 1Qatreh la ye Aalam hoga to phir Us Darakht ko khane walo ki takleef ka Aalam kiya hoga..!!
Allahu Akbar Kabeera..
■■ Jahannamiyo me Ghiza ka zikr isliye kiya jata hai,taake Dunya me Haram Khane wala Jab Haram Kamayi se Khane lage to is ghiza ko yaad karle to insha Allah wo Haram se Ruk sakta hai.
Allah hame har Haram Kaam wa Kamayi se mahfooz rakhe..Ameen.
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.
And
Madarsah ANWAARULISLAM Lil Banat,
TAYYAB Nagar,Talab Katta, Mahbubnagar, Telangana

You might also like