*** DARSE JAMIUT TIRMIZY *** Chapter : TAHARAT , Day : 37,


Hazrat Abdullah Ibne Sa,ad(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) se Sawal kiya gaya ke :Hayizah Awrat(wo awrat jo Monthly Period me ho),ko khane Me shareek kiya jasakta hai ? Ya Nahi ?
To aap (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Us Awrat ko Khane per apne saath Shamil karlo.
(Vol/1,H,No :133),
 
Dars : Qurban jaye Aapke is insaaf per ke jin ke Sadqeh Awrat ko ye rutabah diya gaya ke Na Paaki ki Halat me bhi usko Kahane me shareek karne ka hukm diya ,
Jabke islam se pahle awr aaj bhi Ghair muslimo ke paas is halat me Awrat ke haath ka bana huva khana bhi nahi khate hai.
Awr kahte hai,ke ” MUSALMANO KE PAAS AWRAT KA KOI MAQAM NAHI HAI”
unko chahiye ke islami taleemat ka ghaur se mutala kare….
 
Afoso …
Aaj Hamare Baaz Musalmano ke Gharo me Bad Qismati se ye bhi hota hai ,ke
Jab Awrat Monthly Period me ho,
Ya Deliever Hojaye tab wo kahte hai,
“GHAR MAILA HUVA HAI,AB KOI ZIKR KI MAHFIL NAHI KARENGE,
DUROOD KI MAHFIL NAHI KARENGE,
QURAN NAHI PADHENGE..
?
?
?
Kyu ke ” GHAR MAILA HAI ”
Nabi kahte hai, Ghar Paak hi,
Afsos Ummati Kahta hai,
Ghar Na Paak..
Dosto Ghaur karo aaj hum kidhar ja rahe hai ?
Hum Taleemat per Amal kar rahe hai ?
Ya Rusoomat per ?
Allah hame Nek Taufeeq de Ameen.
 
Plz..Share it to All,For Islamic Service.
You might also like