*** DARSE JAMIUT TIRMIZY *** Chapter :TAHARAT, Day : 36,

 

Hazrat Abu Zarr(taziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Paak Mitti Musalaman ke Paaki ka zariyah hai,jab wo agar 10 saal bhi Paani(Water) na paye,To Tayammum hi kare,usi me Khair hai,
Agar paani Mile to usko istemal kare.
(Vol/1,H,No : 124),

Dars : is hadees e paak me Ghusl ki taraf isharah hai,ke Agar kisi ko Ghusl ki zaroorat hojaye awr Paani(water) Na mile to aysi soorat me wo Bandah Tayammum hi karle to Kaafi hai,wo Ghusl ke barabar hojayega,
Ye bhi farmaya ke..10 se muraad agar us se ziyadah 20,30years etc..se bhi ziyadah hojaye to Tayammum ka hi hukm hai.

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like