*** DARSE JAMIUT TIRMIZY *** Chapter : SALAH , Day :43

 

Hazrat Ayisha Siddiqah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) Namaz e Fajar Padhate awr usme Awrate bhi Namaz me Hazir hoti,
To Ansari(raziyallahuanhu) ne kaha :Awrate Namaz ke baad jab apni Chadare Lapet kar laut ti to Andhere ki wajah se Dikhayi hi Na deti.
(Vol/1,H,No :153),
Dars : Hadees e paak me Fajar ki Namaz ke Ada ke muta allq isharah hai,ke
Fajar ki Namaz ko Uske ibteday Waqt yani Kab Andhera rahe tab hi padhna “MUSTAHAB” hai,awr ye Imam e Shafayi(rahmatullahialaih) ka mazhab hai,
Ek Doori rivayat bhi hai,jo insha Allah aage aane wali hai,usme fajar ki Namaz ko Safaidi yani uske Aakhiri waqt me padhne ko kaha gaya hai,jo Imam e Azam Abu Hanifah(rahmatullahialaih) ka Mazhab hai,
2ri baat Khawateen ka Masjid me Namaz padhna ye Ibtedaye islam me tha,take unko Namaz ka tareeqah awr Ahkaam sikhaye ja sake,
Lekin Baad me Khawateen(ladies) ko apne Gharo(Haouses) me hi Namaz padhne ka Hukm Diya gaya hai.lehaza Ladies ka Ab Masjid me aakar Namaz padhna Islami Taleemat awr Sunnat ke Khilaf hai.

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like