*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** Chapter :SALAH, Day : 54,

 

Hazrat Abu Zarr(raziyallahuanhu)se rivayat hai,kaha,
Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Aye Abu Zarr ..
Mere Baad ayse Haakim(Kings,Gudges..etc) honge jo Namaz ko uske Waqt pe Ada na karke usko Khatam kardenge to ayse Halaat me tum Apni Namaz Waqt pe Padhlena phir jab Haakim aye to uske Saath bhi padh lena,
Pahli wali Namaz jo Waqt pe padhi gayi to wo Tumhari Ada Hojayegi awr ye jo Haakim ke Saath padhi gayi wo Nafil hojayegi.
(Vol/1,H,No :176),
Dars : Dosto,,
Haakim ka matlab ye Nahi hai,ke koi Badsha hi ho balke koi apne aapko zimmah daar samajhta hai,wo bhi in hi logo me shumaar kiya jayega..
To hame chahiye ke unse jhagda kiye baghir Waqt pe Namaz padhle awr apne Rabb ko raazi karne ki koshish kare..

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like