*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER : SALAH , DAY :80,

 

Hazrat Qutbah bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) Fajar ki Namaz ki Qira’t me 60 se 100 tak Quran ki Ayate padha karte.
(Vol/1,H,No:307),
Dars: Isi Hadees ki Roushni me Ulama e Kiram farmate hai,ke..FAJAR KI NAMAZ ME QIRAT;
“TIWALE MUFASSAL” hai,yani Quran ke taweel surah padhna hai.aur ye ** SUNNAT ** hai,
Baaz logo ko iska pata Nahi hota hai,wo Imam saheb ko baad me kahne lagte hai,ke aap “LAMBI NAMAZ PADHA RAHE HAI !!??
aysa kahna”JAHALAT” hai,is se bache..
Allah sabko Deen ki Maloomat ata farmaye..

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like