*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER: SALAH, DAY : 101,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya:Namaz me Jamayi (ander se saans moo bhar ke aana aur Chahrah ki shakal me farq aana) Shaitan ki wajah se aati hai,to Jitna Jamayi ko rok sakte ho,roklo.
(Vol/1,H,No:371),
Dars:Dosto,Jamayi me Susti hoti hai,jis se Namaz ka Khushoo wa Khuzoo Baaqi Nahi rahta hai,isliye Namaz me Jamayi Se roka gaya hai,
Jamayi Rokne ka ek tareeqah ye bhi hai,ke :
Daanto se neeche ke Honto ko Dabaya jaye to Insha Allah Jamayi Ruk jayegi…
Allah sabko Namaz me Khushoo Ata kare,Ameen.
Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like