*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER : SALAH, DAY:100,

 

Hazrat Anas(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne Lanat bheji hai,ayse Shaks per Jo Imamat kare aur Saari Qaum us se Naraz rahe..
(Vol/1,H,No:359),
Dars:Dosto,Saari Qaum ka Naraz rahne ka matlab poora Shaher ya Village etc Na raz rahna murad hai,chand logo ke naraz rahna koi baat nahi,kyu ke is dunya me sab ka muttafiq zarrri nahi hai.
Na Raz hone ki wajah ?
Wo shaks Ghair Sharee kaam me mubtala ho..
Jaise..Sharab peena,Juvva khelna,Zina karna yani wo kabeerah Gunaho me mubtala ho..to ab ye Na raaz hona sahi hai..ayse imam per Lanat hai..
Kiya Is amal pe bhi Na raaz ?
Imam sadar saheb ya Mutawalli ko salam Nahi karte…
Imam Hamesha Masjid me Nahi rahte…
Imam acha qeemti mobile rakhte …
Imam Ke paas car hai…
Imam Namaz me 5 minute late kardiye..
Imam Taqreer aur Namaz lambi padhate…
Imam moqtadiyo se Gupshup ziyadah nahi karte…etc…
Ye saari Choti Cheezo se agar Qaum imam se Naraz rahi to Yaad rakhe Allah ayse Jahil Qaum se ibadat ki Lazzat Maali Barkat aur Qalbi Rahat ko Cheen leta hai,
Allah sabko Daryadili aur Gushadah Nazar Ata farmaye..Ameen.
Plz..Share it to All,For islamic service.

You might also like