ANAR KHATTE KISE HUVE ?

NAU SHEERWAN Ek Badshah Guzra hai,wo ek din Shikar keliye Nikla,us dauran Use Piyas Hone lagi to wo ek Baagh me Dakhil huva,Baagh me Ek Ladka Baitha huva tha,to Badshah ne us se kaha Mujhe Paani Pilavo to us ladke ne jawab diya ke Paani Nahi hai,acha to Baagh ka Anar khila do,to Ladke ne Anar Tod kar le aya aur use de diya,jab usne khaya to wo Anar Bada Meetha tha,ab Badshah ne Niyyat karli ki is Baagh per Qabzah karlunga,itne me anar Khatam hogaya,to usne Ek aur Anar manga to ladke ne anar pesh kiya to ab us Anar ko Kadwa paya to Badshah ne kaha kiya ye Anar kisi doosre Darakht ka hai,to ladke ne kaha Nahi pahle wale Darakht ka hi hai,to Badshah ne kaha Phir is ANAR KA MAZAH KISE BADAL GAYA ?!

To Ladke ne Jawab Diya Jab BADSHAH KI NIYYAT BADAL GAYI …………!!!

Dosto ye Niyyat ka asar hota hai,jaise Niyyat hoti hai,wysa hi uska Asar bhi hota hai,to hame chahiye ke apni Niyyat saaf rakhe to sab Kaam Saaf hojayenge..Insha Allah.

You might also like