DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 773,Hadees No :2683,*

Hazrat Abu Zarr Ghifari
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Allah farmata hai,ke Aye Mere Bando Tum me se Wahi Hidayat wala hai,jisko Maine Hidayat di hai,baaqi saare Gumrah hai,to Tum mujh se Hidayat Maango to mai tumhe Hidayat se Nawazunga,aur saare Bandeh faqeer hai,magar jisko maine Maaldar kiya wahi Ghani hai,to tum mujh se rizq mango mai ata karunga,aur tum me saare Gunahgar hai,wahi Bakhshish wala jisko maine Maaf kiya hai,lehaza tum mujh se Bakhshish maango to mai bakhsh dunga,
Mujhe is baat ki koi Parvah Nahi ke : Tum me se Pahle wale aur Aakhir aane wale,Zindeh aur Murdeh,Khushaal ya Bad Haal sab ke sab kisi Muttaqi shaks ke Saath bhi hojaye to us se mere Badshahat me Makkhi ke par ke Barabar bhi koi ziyadati Nahi hogi,aur saare log milkar kisi Badbakht ke saath bhi hojaye to meri Badshahat me koi kami Nahi karsakenge,
aur saare Insaan milkar Mujh se apni Tamannah ki takmeel ki dua maange aur mai unhe wo ata bhi kardu to wo ayse hi hoga jaise Samandar me Sooyi Daal kar NIikale to samadar ke paani jis tarah koi kami nahi hoti usi tarah ata karne se meri milkiyat me se koi kami nahi hogi ,mai jo chahta hoon wo karta hai,Sawab ho ya Iqab mere hukm se hote hai,jab mai koi Cheez ka iradah karta hoon,mai ” كن Hoja kahta hoon,to wo فيكون hojati hai.
(Vol/2,Hadees No :2683),
Dars : Bandah Chahe jitni bhi taraqqi karle chahe wo apni Zahni taqat,technology,ya Science etc..se ya Badani taqat se,lekin Wo Har Lmaha Allah ka Mohtaj hota hai,kyu ke Saare Aalamo me tabdeeli aur taraqqi sirf aur sirf Allah ke Hukm se hi hoti hai,bandeh ki sirf Koshish hoti hai,lekin jab us koshish ko Allah kamiyabi deta hai,to us ka Naam hi taraqqi wa kamiyabi rakha jata hai,aur agar Na kaami de to Na kamiyabi rakha jata hai,
To Bus Bandeh ka kaam hi rabb ki Bandagi karna hai,aur uski Har Sifaat per Kamil yaqeen rakh kar Amal karna hai,
Allah hame Amal ki taufeeq Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com

You might also like