DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 774,Hadees No :2684,*

Hazrat Abdullah Ibne Umar
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Bani Israeal me Ek Badi Umar wala Shaks Raha karta tha,jo Bohat hi Bad Kaar shaks tha,Ek Din uske Paas Ek Khatoon(lady) ayi,to usne Uske Saath Bura Amal karne ke 60 Deenar dene ki baat ki,aur Jab wo Bura Amal karne ke Qareeb tha ke Us Wo Khatoon Zoro se Rote huve kahne lagi,ke Maine Zindagi me kabhi bhi ye Bura Amal Nahi ki,Bus Zaroorat ki wajah se karna Pad raha hai..!!
To us shaks ne Kaha : ye to tum is se pahle Nahi ki hai,to Ab bhi Mat karo aur ye Paise le kar Chali javo,aur Wo Chali gayi,
Phir us Shaks ko Badi Nadamat huvi aur wo Qasam khaliya ke Wo Bura Amal kabhi Nahi karega,
Usi Raat us Shaks ka inteqal hogaya,lekin Jab Log Subah me uske Ghar ke Darwazeh per likha huva dekhe ke ye likha hiva tha :
Allah ne Us Shaks ki Maghfirat farma di hai.
(Vol/2,Hadees No :2684),
Dars : Subhan Allah ..
Ye Rahman Allah ka Raham hi hai,ke wo Apne Bando ki Bakhshish karne keliye Asbab ata karta hai,aur Bandeh ke Dil se kiye huve Chote se Amal per bhi uski Bakhshish farma deta hai,
●● Rabb ki Bakhshish keliye Shart hai,ke Bandah Dil se Sachi taubah kare phir Zindagi me kabhi Us Amal ka irtekab Na kare to usko Sab kuch mil jayeg.
Allah hame Har Chote aur Bade Bure Amal se Mahfooz rakhe..Ameen Ya Rabbi.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like