DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 780,Hadees No :2689,*

Hazrat Abdullah Bin Amr
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo khamoosh raha wo Najat paya.
(Vol/2,Hadees No : 2689),
Dars : Allah ne Insaani Badan me kayi Nemate jaise Aankh,Kaan,Naak,etc..ata kiye hain,unme se hi ek Azeem Nemat “ZUBAN” hai,jis se Achi Baate karke Kahliq wa Makhlooq dono ko Raazi karlene ka Hukm diya gaya hai,isko sahi istemal kare to Neki hogi aur Agar Ghalat istemal kare to Badi hogi,lehaza ikhtiyar Bandeh ke Haath me hai,
■■ Aaj kal Katibe Wahi Sahib e Rasool Hazrat Ameere Muaviyah(raziyallahuanhu) ke Baare me Log Bahes kar rahe hai,aur unko Bura kah rahe hai,unki Be Adabi kar rahe hai,zubani Rang chede huve hai,to Is masleh me ” KHAMOOSHI HI NAJAT” hai,sadiq aati hai,Unke Moamleh ko Allah per Chod de,Allah hi Behter faislah karne wala hai,hum to Bus Mohtaj wa Bebus Bandeh hai,Hum kisi Sahabi e Rasool ki izzat karne aur Na karne se unki Azmat aur Shaan me koi farq Nahi padta hai,kyu ke unko Apne Habeeb sallallahualihiwasallam ki Rifaqat keliye khud Allah ne Chun liya hai,lehaza hame Har Sahabi e Rasool ka Ehteram karna hai,aur unki Shaan me Be Adabi karna Allah aur uske Rasool sallallahualihiwasallam ki Na Raazgi ka Sabab Banta hai,kyu Aap Sallahualihiwasallam ne Kayi Martabah farmaya ke Tum mere Sahaba ki Be Adabi wa Dushmani se Bacho kyu ke Wo Sitaro ke Manind hain,un me se kisi ek bhi Iqteda karoge to Hidayat Yaaftah hojavoge,to hame Jo Moamalat samajh me Na aye to usko Allah per Chod kar khamooshi hi ikhtiyar karleni chahiye usi me Sab ki Bahalayi hai,
●● Baaz Maqamaat ayse hote hai,ke Kisi per Tohmat Lagayi ja rahi hai,aur aap ko unke Paak daman aur Be Gunah hona Yaqeeni taur per Malum ho to waha Khamoosh Nahi rahna hai,Balke unke Haq me Sacchi Gawahi dena hai,yani yaha khamoosh Nahi rahna hai.
Allah hame Haq baat karne ki taufeeq aur Bure Baato se Mahfooz rakhe..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…
www.anwaarulislam,com.

You might also like