DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 779,Hadees No :2688,*

Hazrat Abu Hurairah
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Allah aur Qiyamat ke Din per Eiman Rakhta hai,to usko Chahiye ke Apne Mahman(Guest) ka ikram kare aur jo Allah aur Qiyamat ke Din per Eiman rakhta hai,to usko Chahiye ke Acchi Baat kare warna Khamoosh rahe.
(Vol/2,Hadees No :2688),
Dars : Qiyamat ke Qareeb logo me ye Aam hojayega ke log Bus Apne aur sirf apne gharwalo ka hi soncha karenge,apne Rishtehadaaro aur Azeezo ki unko koi fikr Na hogi,aur Na hi wo unhe Apna Mahmaan Banana chahenge,Balke wo Apne Mahmaano ko tang Nazri se dekhenge,to isi liye kaha gaya hai,ke Har Haal me apne Mahmaano ka ikram wa Ehteram karne ka Hukm diya gaya hai,
●● Aaj Aksar Gharo me Be Barkati ki shikayate Aaam hoti jarahi hain,kyu ke log Mezbani karna Chod diye hai,aur Mahmano ko Tangi samajhne lakhe hai,isliye Be Barkati ne bhi Gharo me apna Thikanah bana li hai,jabke Hadees e Paak me ya hai,ke Mahmaan ke Aane se Ghar me Barkate Nazil hoti hain.
■■ Mezbani keliye Ache aur Lazeez khano ki hi zaroorat Nahi hoti hai,Balke Ghar aaye huve Mahmaan se Muskura kar Mohabbat bhare Chand jumleh aur Thandah Paani hi Bohat kaafi hojata hai,bus uske liye bhi Bade Dil ki Zaroorat hoti hai.
☆☆ Tamaam Aamal me Ahem kirdar Ada karne wali Cheez Zuban hai,Achi Baate kare to Nekiya aur Agar Khaoosh bhi rahe to tab bhi Nekiya Alhamdulillah,Haan,Agar Buri Baat kare to Burayiyan aur Dunya wa Akhirat me Sakht Azaab bhi milega..!!.
Allah hame Mahmano ki izzat aur Achi Baate karne wala banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com

You might also like