DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 681,Hadees No :2559,

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Ek Shaks ne Sawal kiya Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) Jo Shaks Chup kar Nek kaam kare phir Wo Kaam logo per zahir hojaye,aur log uske Baare me usko bataye to usko Wo Baat achi lage to ayse shaks ka kiya hukm hai ? 
To aapne farmaya : Ayse shaks ko 2 Ajr(sawab) diye jayenge,
Ek Ajr Chup kar Nek Kaam karne ka,aur Doosra Ajr Zahiri taur per Amal karne ka.
(Vol/2,Hadees No :2559),
Dars : Jab Bandah Koi Nek Kaam kare aur wo Chup kar kare aur kisi ko Malum bhi Na ho to ab wo Moamlah uske aur Allah ke darmiyan hoga,
aur Agar koi Chup kar kaam kare lekin phir bhi wo Kaam logo per zahir hojaye to Ab uske liye 2 ajr honge,ek Chupke Nek Amal ka aur Doosra us ke Amal se logo ko targheeb aur dil chaspi dilane ka bhi ajr milega,kyu ke chup kar kiya jane wala Amal logo per ziyadah Asar Andaaz hota hai,aur isme iski Niyyat bhi Ikhlas se bhari huvi hoti hai,
dikhar karne se kayi shikayato ka saamna karna padega..!!!!
■■ Allah Raham kare..ke Aaj kar Har chote Kaam per News papers etc..me photos ka Bazar garam hai,Baaz log apni apni Gharz ki khatir madad karke izhar kar rahe hai,aysa karne se behter hai,ke kuch Na hi kare to Afzal hai,kyu ke Sab se Dardnaak Azab Riya kari aur Dikhave ka hi hai..!!
Aur dunya me uske liye ye Azab hai,ke log ayse Askhaas ki Dil se izzat nahi karenge aur jab uske kaam ke baare me kuch baate bhi Na kare to uska Dil Jalne lagta hai,aur Raato me Neend se mahroom hojata hai,etc…aur kayi tentions ka shikar hojata hai,lehaza kaam bada ho ke Chota Niyyat Saaf aur ikhlaas ho to kaafi hai.
Allah hame apne kaamo me ikhlaas naseeb kare..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like