DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 680,Hadees No :2558,

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tum “JUBBE HUZN”(Gham ka Gadha) se Hifazat mango,to aap se sawal kiya gaya ke ye Jubbe Huzn kiya hai ? To aapne farma ke Wo Jahannam me ek Waadi hai,jis se Jahannam Rozana 100 Martabah Panah maangti hai..!!
Phir sawal kiya gaya ke usme koun Dakhil honge ? To aapne farmaya : Taleem Yaaftah log jo apne Aamal se dikhava karte ho.
(Vol/2,Hadees No :2558),
Dars : is hadees me har us shaks ke bare me hai,jo Thoda bhi ilm rakhta ho aur apne Aamal se dikhava karta rahta ho,
■■ Zakat de rahe ho,Ghareebo ko kapde ya Khane ka saman de rahe ho,ya kisi ghareeb ladki ki shadi me madad kar rahe ho etc..to har kaam me Photo aur Video lena aur usko logo me Aam karna etc..se ikhlas ke khatam hone ka andesha rahta hai,lehaza Madad Allah ki Raza hasil karne ki niyyat se karni hai,Na ke Bando ki Raza keliye jab Allah hi Raazi hojayega to Bandeh to phir ayse hi raazi Hojayenge..insha Allah.
Allah Hame Riyakari se mahfooz kare..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like