DARSE JAMIUT TIRMIZI
*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT,*
*DAY : 798,Hadees No :2711,*
Hazrat Abu Saeed Khudri
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Shaks Halal Kamaye,Sunnato per Amal kare aur Doosre Log uski Takleef wale Kamo se Bache to Jannat me Dakhil hojayega,
(Vol/2,Hadees No :2711),
Dars : Dunya me Maal Kamane ke Bohat se Raasteh hain,aur Deen e islam Mehnat wa Mashaqqat ki taleem bhi deta hai,aur Hadees me yaha tak aya hai,ke Mehnat karke Kamane wala Allah ka Mahboob Bandah hota hai,to Mehnat karna hai,lekin Hala Maal kamane keliye warna Haram Kaam me ki jane wali Mehnat Wabal wa museebat ban kar lutegi..!!
■■ Rasoolullah Sallalahualihiwasallam ki Seerate Tayyibah Kamil Hayat wa Roushni e Zindagi hai,Momin bandah aapki Seerat wa Sunnato per Chalega to Deen wa Dunya Dono sanwar jayenge,
●● Acha Hone ke Saath SaathSab se ahem baat ye bhi hai,ke Apni Zuban aur Haath se doosro ko takleef Na de kyu ke Doosro ko Apni Takleef se Mahfooz rakhna bhi Islami Aadab me se hai.
Allah hame In Baato per Amal ki taufeeq Naseeb farma..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…www.anwaarulislam,com.