DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 797,Hadees No :2710,*

Hazrat Jabir Bin Abdullah
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Barabari ke Saath faislah karo,kisi ki Riayat Na karo.
(Vol/2,Hadees No :2710),
Dars : jab kisi Baat me Faislah karna ho to Haq wa Barabari ke saath karna hai,jis se us faisleh me Allah ki Madad Shamil hojati hai,aur us faisleh me aane wali mushkile bhi door hojati hai,faisleh me kisi ki Riayat yani koi Apna Rishtehdar ya Azeez ho to bhi uske Haq me Narmi ya jhukav Nahi karna chahiye warna Masnad e Adl per se yaqeen uth jayega,
■■ Lekin Qiyamat me qareeb Har Maqam per se Adl wa insaaf khatam hojayega jis se Har Taraf Nizam bigad jayega,un Halaat me bhi Seedhe Raasteh per Rahne ki koshish karne se Allah Raasteh Aasan farmayega.
Allah hame Har Moamleh me Insaaf karne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like