DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 799,Hadees No :2713,*

Hazrat Moaz Bin Anas juhani 
(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Allah keliye kisi ko kuch de,aur kisi ko Mana kare,aur Allah keliye hi Mohabbat kare ya Boghz rakhe aur Allah keliye Nikah kare to usne Apne Eiman ko Mukammal karliya.
(Vol/2,H,No:2713),
Dars : Bandah jab kisi ko Koi Cheez Yani Maal etc..Sirf Allah ki Raza ki khatir de ya us se Mana kare aur usme kisi qisam ki Dunyavi gharz jaise Dikhava etc..Na ho,aur isi tarah kisi ki izzat ya ikram kare ya us se Boghz rakhe to usme bhi Allah ki raza ho,to Allah uske Eiman ki takmeeli farmate hain, 
■■ Jab Nikah Allah keliye yani Deendar aur Alimah ya Hafizah etc..Ladki se Nikah Deen ki Mazeed khidmat karne ki Niyyat se kare to Wo Dono ke Saath doosre kayi log bhi Apne Eiman ko Mukammal karlenge..Insha Allah.
Allah Hame Har Kaam Allah ko Raazi karne keliye karne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like