DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 805,Hadees No :2721,*

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) 
se rivayat hai,kaha,
Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Jannat me 100 Darjeh(Manzilat) hai,unme Har Darjeh ke Darmiyan 1 Saal ka faslah hota hai.
(Vol/2,Hadees No:2721),
Dars : Jannat ka Darjah ek hi darkah aysa hoga ke doosre darjeh tak pahoncne ka faslah 1 saal ka hota hai,jabke doosri Hadeeso me aya hai,ke jannat jannat ka Ek Din 50000 saal ke Barabar hota hai..!!
Allahu Akbar Kabeera….
To malum huva ke Jannati Nemate wa Maqam aur Darjeh itne wasee wa kushadah hain,ke Unka Andazah bhi lagana insaani Aqal ke Baher hai,to ye saari Nemate Dunya me islami zindagi guzarne parhi milti hai,warna uska Doosra pahlu Dayimi Zillat wa Azab bhi milega,
■■ Ye Bade Bade darjeh jannat me rakh kar Allah (azza wa jalla) khud Bando per Rahmat wa Fazl ke Asbaab mohayya karta hai,taake bandeh jannati hojaye,Ba shart ke Bandeh me Dili tadap bhi rahe.
Allah hame Ahle jannat me shamil karle..Ameen ya Rabbi..
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like