DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 806,Hadees No :2722,*

Hazrat Muaz Bin Jabal (raziyallahuanhu) 
se rivayat hai,kaha,
Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Bandah Ramazan ke Rozeh rakhe,Namaze padhe,Hajje Baitullah kare aur Zakat de to Allah per ye Haq hai,ke Wo us Bandeh ki Maghfirat farmaye,
Ye Sunkar Aapne kaha Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) kiya mai ye Baat logo ko bata du ? Aapne farmaya:logo ko Amal karne chod do,Kyu ke Jannat me Jumlah 100 darjeh hain,Har Darjeh ka Faslah utna hi hai,ke jitna faslah zameen aur Aasman me hai,aur Firdous Aala Jannat hai,uske Uper Arsh hai,jahan se Jannat ki Nahre Bahti hain,lehaza Jab bhi tum Jannat maango to Jannat ul Firdous maango.
(Vol/2,Hadees No:2722),
Dars : Bandeh momin ko us waqt tak Amal karna hai jab tak ke uski Maut na ajaye kyu ke ye Dunya Darul Amal hai,aur Akhirat Darul Hisab hai,
Jannat me Bohat se darjeh hain aur Har Darjeh ki Azmat wa Shaan apni jagah barhaq hai,Aur Jannatul firdous sab se Aala hai,lehaza hame apni dua me Aala Jannat hi maangne ka Hukm aya hai.
Allah hame Jannatulfirdous me jagah Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com

You might also like