DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 807,Hadees No :2725,*

Hazrat Abu Saeed(raziyallahuanhu) 
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Be shak Jannat me 100 Darjeh ayse hain,ke Saare Aalameen ke log usme Jaye to phir bhi wo Nahi Bharega. 
(Vol/2,Hadees No:2725),
Dars : Allah ke Khazaneh itne kushadah hain ke Saare Alameen ki makhlooq sonche me lag bhi jaye to uska Andazah bhi Nahi karsakti hai,
Jab Jannat me Ek hi Darjeh ka Ye Aalam hai,to 99 Darjo ka Aalam kiya hoga..!!
Allah hame Nek Amal ki taufeeq ata kare..
Ameen ya Rabbi…
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com

You might also like