DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 812,Hadees No :2735,*

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) 
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jannati Log Saaf Jism,Taqatwar Badan aur Surmagi Aankh wale honge,aur Jannat me Na inki Jawani Khatam hogi aur Na hi unke Libas Boseedah(purane) honge.
(Vol/2,Hadees No:2735),
Dars: jismani,Roohani Gandagi aur Badani Na Paaki etc..ye Sab Cheeze Sirf Dunya me hi honge Jannat me ye kuch Nahi honge Balke waha to Sirf Paaki,Saaf Dili,aur Khushi wa Mohabbat hi honge,aur Wo Khushiya jo Kabhi khatam hi nahi honge,aur Jannat log Har qisam ki kamzori se mahfooz rahenge,
●● Jab Jannati libas bosidah wa Purana Nahi hosakta to Jannati Jism ka Aalam kiya hoga…..Allahu Akbar Kabeera…
Allah hame Jannat ul Firdous Naseeb kare..Ameen..
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com

You might also like