DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 811,Hadees No :2734,*

Hazrat Sa’ad Bin Abu Waqqas (raziyallahuanhu) 
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Agar Jannat ki koi Cheez Jo Sirf Nakhun(Nail) ke Barabar ho usko Zahir karde to Wo Zameen aur Aasman ko Noor se Bhar degi,aur Jannat me Rahne wala Jannat se hi sirf Apne Kangan(Haath Ka Zewar) ko dikha de to Uska Noor Sooraj(Sun) ke Noor is tarah Maand kardeta hai,jaisa ke Sooraj Sitaro ki Roushni ko Maand kardeta hai.
(Vol/2,Hadees No:2734),
Dars : Subhan Allah ye Hai,Nooraniyat wa Fazeelat Jannat ki Choti si Choti cheezo ki aur Jannat logo ki..ke Wo apne Noor se Saare Alam ko Munawwar kardete hain,jab Ghulamo ke Noor ka Ye Alam ho to jo Zaat Sarapa Noor ka Manba ho unke (Sallallahualihiwasallam) ke Noor Ka Alam kiya hoga,
●● Jannat logo ke Kangan yani Deen e islam me Mard(male) ko Dunya me kisi bhi Qisam ka Zewar(jewellery) pahen ne ki ijazat Nahi hai,Sivaye Anghoti(ring) ke Jo Sone(gold) ki Na ho lekin unhe Jannat me had Qisam ka zewer pahen ne ki ijazat hai.
Allah hame bhi Noor wale Jannatiyo me shamil farma le maula..
Ameen ya Rabbi..
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like