DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 813,Hadees No :2736,*

Hazrat Abu Saeed (raziyallahuanhu) 
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jannati Logo ka Farsh is tarah Buland hoga ke uski Masafat Zameen wa Asmaan ke Darmiyan jitna faslah hoga utni hogi yani 500 Saal safar ka faslah hoga.
(Vol/2,Hadees,No:2736),
Dars : Jannat me itne Buland wa Wasee farsh keliye hain,ke Jo Allah ka Nek Bandah Hota hai,to Dunya ke Log us per Dunya ki Zameen tang kardete hain,phir bhi wo Nek Bandeh shikwah wa Shikayat ke Baghir Deen per qayim rahte hai,marte dum tak Bad Deeni ko Nahi apnate to usko Ajr Allah Jannat me is tarah ata karega,aur bhi Bohat si Nemato se Nawazega.
Allah hame Jannat ul Firdous ata kare..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com

You might also like