DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 818,Hadees No :2742,*

Hazrat Muaz Bin Jabal (raziyallahuanhu) 
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya: Jannati log Jab Jannat me jayenge unke Badan per Baal Nahi honge,wo Taqatwar honge,Surmagi Aankh wale honge,Aur Unki Umr(age) 30 ya 33 saal ki hogi.
(Vol/2,Hadees No:2742),
Dars: is Hadees e paak me Jannati logo ki Sifaat aur Unki Umr(age) ke baare me bataya gaya hai,ke unki umr 30 ya 33 saal ki hogi,to malum huva ke Dunya me koi bhi apni Kitni bhi zindagi guzarle Rabb ka fazal hojaye aur wo jannat me jaye to wo Lambi umr ke saath Nahi Balke Bharpur Jawani ke Aalam me Jannat me jayega waha koi Budha aur Budhi Aurat Na hogi sab ke sab Jawan honge aur Rabb ki Nemato se lutandoz honge,
●● Jism per Baal Na hone ka Matlab Moonch ke mukammal Baal na honge Jo ke Kamil wa Mazboot Jawani ki taraf isharah hai,
Allah hame Jannat ul Firdous me jagah Naseeb kare..Ameen 
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like