DARSE JAMIUT TIRMIZI

 

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
*DAY : 821,Hadees No :2747,*

Hazrat Ali (raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Be shak Jannat me Ek Bazar hai,jisme Na Khareedna hai,air Na hi Bechna hai,Balke Waha Mard aur Aurato ki tasveere hi hongi,jab Jannati jis tasveer ko Chahe ko wo unse Mulaqat karega.
(Vol/2,Hadees No:2747),
Dars: Ye Jannat me jo Bazar hoga ye Khareedari la Nahi Balke Rishtehdari etc..Ka Bazar hoga,jannati Shaks Jab us bazar me dakhil hoga to usko waha bhi Apne Rishtehdar yaad ajayenge Walidain,Bivi Bache,Bhai,Bahen,etc..to wo Jannati honge to unse Mulaqat hogi,Agar wo Waha Na ho to Ulama e kiram ne likha hai,ke Agar Ye Jannati Shaks Rabb ki Bargah me unki Bakhshish ki dua karega to Allah unko bhi Maaf karke Jannat me Jannati shaks se mulaqat karvayega..
Allahu Akbar Kabeera
Ye hai,Rabbe Kareem ka fazl ke Jannati shaks ke Dil ke sukoon keliye Allah jahannami ko bhi bakhsh deta hai,
●● Lehaza hame Dunya me Nek Logo ki sohbat me rahna hai aur khud bhi Nek Ban ne ki koshish karna hai,Pata Nahi ye hamari Nekiya kis jahan me kis ke Kaam ajaye aur Bigdi Sudhar jaye..
Allah hame Jannat ul Firdous me jagah Naseeb kare..Ameen
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com

You might also like