DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 820,Hadees No :2745,*

Hazrat Abdullah (raziyallahuanhu) 
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya: Meri Ummat jis darwazeh se Jannat me Jayegi uski Kushadgi aysi hogi ke usme se 3 Tezz Raftar ghode sawar Ki masafat ke Barabar hogi,jaha se wo Izzat se Jannat me Dakhil honge.
(Vol/2,Hadees, No:2745),
Dars : Ahadees e Mubarakah me Mukhtalif muqamaat per Jannat ke Darwazo ka zikr aya hai,jisme Jannat ke Jumlah 8 Darwazo ka Zikr kiya gaya hai,aur Har Ek ki fazeelat aur Dakhil hone walo ka bhi tafseel ayi hai,jo insha Allah aage batayi jayegi,lekin Har Ummat e Mohammadiyyah ko Allah ne aysi khusoosiyat ata ki hai,ke Wo Jannat me bhi Badi Shan se Dakhil honge aur Jannati Nemato se maala maal bhi honge,
●● Ulama e kiram ne kaha hai,ke Jannat ke darwazeh ke kushadgi 3 Ghode sawar ki masafat ka matlab dunyavi etebaar se hi nahi balke wo wo itna kushadah hoga ke uska Andazah bhi hum nahi laga sakte wo Rabb ki Shayan e shaan hoga.
Allah hame Jannat ul Firdous me jagah Naseeb kare..Ameen 
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam, com.

You might also like