DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
*DAY : 822,Hadees No :2748,*

Hazrat Jareer Bin Abdullah (raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,Hum
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ki Bargah me Baithe hive the,tab ham sab ne Chaudvi Raat ke Chand(14th night Moon) ko Dekha to aapnne farmaya : Jannat me Tum Apne Rabb ke saamne Pesh kiye javoge phir tum is chand ko dekhne ki tarah wazeh Taur per Allah ka Deedar karoge,
Aur Tum Jitna Hosake Fajar aur Asar ki Namaz ka Ehtemam karo.
(Vol/2,Hadees No:2748),
Dars: Jannat me Sab se Azeem Nemat Allah ka Deedar hai,Jabke Har Nemat ki Fazeelat apni jagaha hai,to Rabb ka Deedar uske Shayan e Shaan hoga Rabb apne Bando ko uski Qudrat ata karega phir Apna Deedar bhi…
●● Har Namaz ka Ehtemam wa Qiyam farz hai,yaha In 2 Namazo la zikr ziyadah takeed me saath isliye kiya gaya hai,ke Aksar unme Bandeh se Susti aur Masroofiyat ki bina per Choot jane ka ziyadah Andesha rahta hai,
Allah hame Nek Amal ki taufeeq ata kare..Ameen ya Rabbi
Plz..Share it to All for more visit our islamic website
www.anwaarulislam,com

You might also like