DARSE JAMIUT TIRMIZI

 

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
*DAY : 825,Hadees No :2752,*

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya: Jab Tum Chand(Moon) aur Sooraj(Sun) ko dekne me kisi qisam ka Shak Nahi karte to isi tarah Jannat me Allah ka Deedar karne bhi Tum kisi qisam ka Shak Nahi karoge.
(Vol/2,Hadees No:2752),
Dars: Khush Qismat wa Saadatmand wali Wali wo Aankh hai,jo Dunya me Zikr e khuda me Bandh rahti hai,aur Buri Cheezo wa Be Hayayi wali Cheezo ko Dekhne se Mahfooz rahti hai,to Allah unko Jannat ke saath Jannat me Unke Har Qadam ke Badleh Apna Deedar Ata farmata hai,jis se unki Aankhe Hamesha Noor se Munawwar rahti hai,
Lehaza hame chahiye ke Dunya me Har qisam ke Gunah se mahfooz rahe to Aakhirat me Har Nemat se sarfaraz kiye jayenge Insha Allah.
Allah hame Jannat me Rabb ka Deedar Naseeb kare..Ameen
Plz..Share it to All for more visit our islamic website
www.anwaarulislam,com

You might also like