DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
*DAY : 824,Hadees No :2750,*

Hazrat Ibne Umar (raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya: Jannati shaks ka Kam se kam Darjah ye hoga ke Wo Apni Nemato,Hooro,Baagho,Khadimo,aur Palango(Beds) ko dekha to wo itne Azeem wa Buland honge ke Unki Masafat hi Hazar Saal(1000 years) ki hogi,aur Uska Sab se Mukarram Darjah ye hoga ke wo Subah Shaam Apne Rabb ka Deedar karega,phir Aapne Ayat Tilavat farmaya jiska tarjumah : Us din Baaz Tarotaza Ayse Chareh honge jo Apne Rabb ka Deedar karenge.
(Vol/2,Hadees, No:2750),
Dars: Jo Bandah Dunya me Deen keliye Jitni Badi Mushkilo aur Museebato ka Bardasht karega aur usko Allah ki Azmayish samajh kar sabr wa Shukr karega to Allah usko jannat me aysi Nemate ata karega ke unke Deedar keliye hi Hazar saal lag jayenge yani utni Aala wa Azeem Nemate hongi jiska ke insaani Aqal tasawwur bhi Nahi karsakegi,jo Allah ka Bandeh ko in’aam hoti hain,
■■ Wo Bandah bhi Kitna khush Naseeb hoga ke jise Apne Rabb ka Deedar Subah wa Shaan Naseeb hota ho,aur wo maqam bhi jannat ho..Allahu Akbar Kabeera..
Ye nemate Deen ke Ahkaam aur Rasoolullah sallallahualihiwasallam ki Sunnato per Amal karne se Naseeb hoti, lehaza Hame Nek Aamal karne hai.
Allah hame Nek Aamal ki taufeeq ata kare..Ameen
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like