DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
*DAY : 830,Hadees No :2759,*

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Allah se Jannat aur Jahannam ne Sawal kiye ? Jannat ne kaha Aye Allah Kamzor aur Miskeen log hi mere ke Dakhil hote hai ?
Jahannam ne kaha mujh me Mutakabbireen aur Jabbareen(Ghaman wa Zulm Karne wale) hi dakhil hote hai?
Allah be kaha Aye Jahannam Tu mera Azab hai,Tere Zariyeh jisko mai chahta hoon,Inteqam leta hoon,
Aye Jannat Tu Meri Rahmath hai,tere Zariyeh jis jisko mai chahoo Raham karta hoon.
(Vol/2,Hadees NO:2759),
Dars: Allah ke Paas Sab se Pasandeedah Amal Ajizi aur Inkisari hai,jo Aksar Kamzor wa Miskeeno me payi jati hai,aur jo islami Takeemat se aagah ho wo bhi is sifat se araastah hote hai,isliye jannat ko Allah Miskeeno aur Kamzoro se Bhardega aur un per Allah ka Raham Nazil hota rahega,
●□ Dunya ke waqti Maal wo Dawlat jisko Allah waqti taur per deta hai,aur wo usko Allah ki Raah me Sahi istemal karne ke bajaye Apni Khahishaat ke pura karne me sarf kardega to us se uske Dil me Takabbur janam lega phir wo Jabbareen me bhi shamil hojayega,jiske sabab wo Allah ki Rahmat se Door hoga aur Uske Azab ka mustahaq hojayega..!!
Jiske sabab Allah Jahannam ko ayse logo se hi bhardiya jayega.
Allah hame Aajiz logo me Shamil kare aur Mutakbbaireen se mahfooz rakhe..Ameen.
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like