DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
DAY : 832,Hadees No :2761,*

Hazrat Abu Saeed Khudri(raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jannati logo me se Jo bhi Dunya me Chahe Badi Umar(age) me Inteqal karjaye ya Choti Umar me unko Jannat me 30 Saal ki Umar me hi Lauta diya jayega aur Us se Ziyadah Nahi kiya jayega,isi Tarah Jahannamiyo ki umar ka Haal hoga.
(Vol/2,Hadees No:2761),
Dars: Dunyavi zindagi me Nek Aamal aur Bad Aamal ka Hisab Umr ke lehaz se bhi hoga aur Deeni Ahkaam me umr ke lehaz se mukhtalif honge lekin Jannat me Jab Nemato se lutfAndoz hona ho to aysi soorat me Ab Sab ki Umr Allah ne Ek hi yani 30 Saal hi rakhi hai,taake Jannati Nemato ka Sahi faidah Hasil karsake aur us Umr se Ab aage umr Nahi Badhegi bus 30 Saal hi Hamesha Jannatiyo ki umr rahegi,
Allah hame Har umr me Neki karne wala Banaye..Ameen ya Rabbi..
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like