DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
*DAY : 833,Hadees No :2762,*

Hazrat Abu Saeed Khudri(raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Koi Jannati Jannat me Apne liye Awlaad Chahe to uske liye Bache la Hamal(pregnent) aur Wazy e Hamal(Delivery) aur Bacho ki Umr bhi surf Ek hi ghante me hojayegi aur wo jaise chahe ga wyse hi hoga.
(Vol/2,Hadees, No:2762),
Dars : Dunya me Awlaad(Children’s) Maa Baap keliye Ankho ki thandak hote hai,jab wo Nek wa Saleh hote hain,to wo Maa Baap ke Dil ka Chain wa Qarar bhi ban jate hai,yaad rakhe Dunya me Awlaad bhi Badi Nemat hote hain,jiski Ahmiyyat unhe hi Bohat hoti hai,jinhe Awlaad Nahi hoti hai,to Jo Jannat me Apne liye Awlaad chahe to usko Awlaad se bhi sirf ghante me hi ata kiya jayega,
●● Dunya me Bohat se log Nek aur Deendar hote hai,lekin unhe Awlaad Nahi hoti hai,aur Baaz log Nek hote hai,magar unki Awlaad Neki Nahi hoti hai,to Jannat me un Jannatiyo ki jinki Dua akhirat me mahfooz rakhi jati hain,Baaz ko Awlaad dekar aur Baaz ko jannat me Nek Awlaad dekar unki khahish wa dua ko pura kiya jata hai,taake Jannati ko jannat me khush rakha jaye..Allah Akbar Kabeera..
Ye hai,Rabb e Rahman ka Karam.
Allah hame Jannat ul Firdous me jagah Naseeb kare..Ameen.
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like