DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
DAY : 834,Hadees No :2763,*

Hazrat Abu Saeed Khudri(raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jannat me Hooro keliye Ek Mahfil Hogi jisme Wo Apni Aysi Buland Awaz se kahti rahengi me jisko kabhi koi Nahi suna hoga ke : Hum Hamesha Jannatiyo keliye Rahne wali,kabhi khatam hone wali Nahi hain,Hum Narm rahengi kabhi Budhi Nahi hongi,Hum Hamesha Raazi Rahne wali hain,kabhi Naraz hone wali Nahi hongi,KhushKhabri hai,uskeliye Jiske liye Hum hain,aur Jo Hamare Liye hai.
(Vol/2,Hadees ,No :2763),
Dare : Ye Jannati hooro ke wo Khaas Sifaat hai,ke Ek Kamil Aurat me hoti hai,Jake Dunya me ye Aarzi hongi lekin Akhirat me Hooro keliye Hamesha Rahne wali hain,to Hamesha Ek wa Nek Halat me,Hamesha Khush wa Raazi Rahna,Narm Dili Etebar se rahna Hooro ki Sifaat hai,
Agar Dunya me Jo Aurat in Sifaat ko Apnayegi to Wo bhi Ek Hoor se Kam Nahi aur Uska Ghar bhi Jannat se kam Nahi hoga yani Dunya me hi uske Shohar wa Baccho ko Jannat ka Mahol Naseeb hojayega,
●● Jo Mard Apni Bivi ki laghzisho ko Bade Dil se maaf karta jayega aur Bivi me jannati Hoor ki sifaat Na paye jane ke Ba wajood usko samjhane aur usko taleem dete huve islami Adaab ka paas wo lehaz karte huve sabr karta rahega to Allah us shohar ko bhi Jannat ata karega.
Allah hame Nek seerat wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All for more visit our islamic website
www.anwaarulislam,com.

You might also like