DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
DAY : 835,Hadees No :2765,*

Hazrat Abdullah Bin Umar (raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qiyamat ke Din 3 log Mishk ke Teelo(Chote Pahad) per honge,
■ Din Raat 5 Waqt ki Azaan dene wala,
■ Qaum ki imamat karne wala Jabke Qaum us se Raazi rahe,
■ Wo Ghulam jo Apne Haqeeqi Malik Allah aur Dunya ke Malik ka Haq ada kare.
(Vol/2,Hadees, No:2765),
Dars: Deen e islam me Allah ne Apni Ibadat Namaz ki dawat dene keliye wahi Shaks ka intekhab farmata hai,jisko wo Pasand karta hai,to Masjid ke Moazzin Saheb Allah ke Mahboob Bandeh hote hai,to unka Har etebar se Adab wa Ehteram karna zaroori hai,unki Saadgi aur Ghareebi per Raham karne ke Bajaye unki Har etebaar se Madad karna bhi unki Tazeem me shamil hai,
●● Qaum ki imamat se murad 2 Baate batayi gayi hain,Ek Qaum ka Leader yani Qaid jo Sache Dil se Har Kaam Qaum ke faidah keliye kare aur usme Apna Zaati koi faidah Na dekhe aur usme Kaamo se Qaum bhi Raazi rahe,
Doosri Baat ke Imamat se murad Masjid me imamat karna hai,ke jo Shaks masjid me imamat karta hai,jabke Haqeeqat me wo Saare logo ke Namazo ki zimmahdari khud pe leta hai,to hame Ayse shaks ka bhi Har etebar se ehteram karna hai,aur imam bhi Apne Mansab ka pura khayal karna hai,
☆☆ Ghulam se murad Har Kaam karne wala hai,jo Ache Andaz me Rabb ke Ahkamaat ko Baja lane ke saath Apni Job etc..ki zimmedariyo ko bhi Ache Andaz me nibhata ho to Ayse logo ko Jannat me Mishk yani Khusbu ke teelo per Badi Shan ke saath khada kiya jayega.
Allah hame Har Momin Bandeh ka Ehteram karne wala banaye Ameen.
Plz..Share it to All for more visit our islamic website.
www.anwaarulislam,com.

You might also like