DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
DAY : 838,Hadees No :2771,*

Hazrat Muaviyah (raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Be shak Jannat me Paani Shahed(Honey),Doodh(Milk),aur Sharab ki Nahre hongi aur unse Kayi Nahre Jari hongi.
(Vol/2,Hadees, No:2771),
Dars: Dunya me kitni bhi Mashaqqate Bandah e Momin islam ke Ahkamaat ki Amal Awari karne per Bardasht karta hai,to Allah usko Be Hisab Nemate Jannat me ata karta hai,
■■ Sharab ki Naher : Jannat ki Sharab me Be Misal Lazzat hogi lekin usme Nasha Nahi hoga,jab ke Dunya ki sharab me Nasha hota hai,aur ye Dunya ki sharab Har Haal me Haram hai,is se jo bachega Akhirat me Jannati Sharab ka mustahaq hoga warna jaise ye Dunyavi Sharab ke Noqsanat Dunya me Beemari ki shakal me milti hain,usi tarah Akhirat me bhi Sharmindagi ke saath saath Dard Naak Azab bhi hoga..!
Yaad rahe ke jo Dunya me Sharab peeta hai,to uski 40 Din ki Namaze Qubool Nahi hoti hai,
Allah hame Har Buri Adat se mahfooz rakhe..Ameen.
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like