DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*

DAY : 839,Hadees No :2772,*

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab koi Bandah Allah se 3 Baar Jannat ko Maangta hai,to Khud Jannat kahegi ke Aye Allah isko Jannat me Dakhil farma,aur Jab Bandah Allah se Jahnnam ki aag se 3 Baar Najat maangta ha,to Jahanaam khud kahegi ke Aye Allah isko Jahannam se Najat ata farma.
( Vol/2,Hadees,No:2772),
Dars: Har Cheez kisi na kisi Maqsad ke Liye Banayi jati hai,aur wo Cheez usi keliye ziyadah Munasib bhi hoti hai,to isi tarah Jannat Sirf Momin keliye hi Banayi gayi hai,Ghairo aur Gunahgaro ka thikanah Jahannam hi hai,
Isilye to jab Bandah sirf 3 Baar jannat me jagaha aur Jahannam se Najat maangta hai,to Khud Jannat aur Jahannam bhi uski Dua me Shamil hojaye aur Sifarish karne lage to Phir Rabb e Rahman to 70 Mavoo se ziyadah Raham karne wala hai,to wo zaroor unki Murado ko pura farmayega,
■■ Akhirat me Momin keliye Jannat aur Kafir keiye Jahannam hai,to jab momin ko dunya me Mushkile aye to use sabr wa shukr karna chahiye ke in ke Badleh usko Akhirat me jannat milne wali hai,aur Mushkilo ke Baare me Hadees me aya hai,ke Dunya me Momin keliye Qaid khanah hai,aur Kafir keliye Jannat..!
Allah hame Jannat ul Firdous me jagah Naseeb kare..Ameen
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
*www.anwaarulislam,com*

You might also like