DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
DAY : 855,Hadees No :2796,*

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jahannam Ne Allah ke Saamne Arz ki ke Aye Allah Mera Baaz Hissah Baaz Ko(Musalsal Jalne ki wajah se) Kha raha hai,to Allah ne usko Garmi(summer) aur Sardi(Winter) me 2 Saans(Breath) lene ki ijazat di,ke Sardi wali Saans Zamhareer Yani Sakht Sardi wale Din hote hain,aur Garmi wali Saans Sakht Garmi wale Din ki hoti hai.
(Vol/2,Hadees No:2796),
Dars: Is se Jahannam ki Sakhti aur Jahannamiyo ko Azab dene ki tayyari ki pata chalta hai,aur Jahannam ki Sifaat me Uski Sard wali Saans bhi Zahmat hi hoti hai,jo ke wo apni Haqeeqi Sifaat me hoti hai,
■ Baaz Ulama e Kiram ne kaha ke us se Muraad Jahannam ki Haqeeqi Saans Nahi hai,balke wo Jahannam ka Asar hota hai,Saans kah kar Bando ko Samjhana maqsood hai,
Allah hame Jahannam ki Sakhti wa shiddat se mahfooz rakhe..Ameen.
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.
And
Madarsah ANWAARULISLAM Lil Banat,
TAYYAB Nagar,Talab Katta, Mahbubnagar, Telangana.

You might also like