DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
DAY : 856,Hadees No :2797,*

Hazrat Ana’s Bin Malik(raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Allah farmata hai,ke Jo La ilaha sallallah kahe aur uske Dil me Jaw(jawar) me daane ke Barabar bhi khair ho to usko Jahannam se Nikal do,air Jo Kalimah padhe aur uske Dil me Raagi ke Daane ke Barabar bhi Bhalayi ho to usko bhi Jahannam se Nikalo aur Jo Kalimah padhe aur uske Dil me Zarreh ke Barabar bhi Khair ho to usko Bhi Jahannam se Nikal do.
(Vol/2,Hadees No:2797),
Dars: Yahi Raham wa Karam karne wala Rabb hai,jo Bandeh ko Maaf karne ke Asbaab talash karke Bando ki Bakhshish farmata hai,isiliye Sirf Jaw,Raagi ya Zarreh ke Barabar bhi uske Dil me Bhalayi ho to uske Sabab Allah us Bandeh ki Bakhshish farma raha hai,
Allahu Akbar Kabeera
● Dil me Bhalayi ka Zikr kiya gaya hai,Na ke Amal me to Jab Momin Bandeh ki sirf Niyyat ka ye Alam hai,to phir Wo Bandah Nek Amal hi karle to uske Amaal ke Ajr ka Aalam kiya hoga.!!
■ Is se Bandeh ke Aamal ki Ahmiyyat malum hoti hai,ke lehaza Hame Dunya me Ziyadah se ziyadah Nek Aamal karne ki koshish karni hai,aur Har Haal me Amal Chota ho ke Bada karna hai,warna Waqt to Kisi Na kisi tarah guzar hi jayega bus use Deeni Kaamo me Guzare to Behter hai.
Allah hame Nek Aamal ki taufeeq ata kare Ameen.
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.
And
Madarsah ANWAARULISLAM Lil Banat,
TAYYAB Nagar,Talab Katta, Mahbubnagar, Telangana.

You might also like