DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 687,Hadees No :2568,

Hazrat Abu Saeed Khudri (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram 
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qiyamat me Jab koi Saya(Rahat,Saath) Na hoga to 7 Log ayse honge jinko Allah Apni Rahmat ke Saye me rakhega,wo ye hai
1) Insaaf karne wala Badsha ya Hakim
2) Wo Nawjawan jo Allah ki ibadat ke mahol me bada huva ho,
3) Wo Shaks Jiska Dil Masjid se laga rahe,yaha tak ke wo Masjid me dakhil hojaye to Sukoon pale,
4) Wo 2 Shaks jo Sirf Allah ki Raza keliye Apas me Mohabbat karte ho,Milte ho bhi ya Door bhi hojaye to Allah ki khatir ho,
5) Wo Shaks Jo Tanhayi me Allah ka Zikr kare phir Uski Aankho se Aansoo jari hojaye,
6) Wo Shaks jisko Ache Hasab Nasab(Ache Khandan) wali ladki Buri Niyyat se bulaye aur wo Us waqt kahe ke “MAI ALLAH SE DARTA HOON”,
7) Wo Shaks Jo Ghareebo ko is tarah Sadqah de ke uske Baye Haath(left Hand) ko pata Na chale.
(Vol/2,Hadees No :2568),
Dars : Qiyamat ko mushkil manzil hai,ke jisme koi kisi ka saath Nahi dega,Har koi Nafsa Nafsi ke Aalam me honge,har kisi ko apne Aamal ki fikr hogi,aur waha Bohat Shiddat se Garmi hogi,koi Saya na koi Saath hoga…!!
Lekin in Khush Naseeb 7 logo ko Allah apni Rahmat ke saye me rakhega aur unka Acha Hisab bhi hoga aur unhe jannat Naseeb hogi,kyu ke Qiyamat ki manzil me kamiyabi Jannat me lejane wali hoti hai,
●● is Hadees e paak me kayi logo ke bare me aya hai,lekin Mauzoo ke lehaz se Allah ki Raza ki khatir Apas me 2 mohabbat karne walo ka hai,ke Allah keliye kisi se Mohabbat karna aur usi keliye milna aur door hona itna Bada aur pasandeedah Amal hai,ke Allah uske Badleh Qiyamat me ye Azeem Maqam dega,
■■ kisi bhi Maqam per ho agar koi Aurat Burayi ki Dawat de to Bandah us Waqti Lazzat ko Chod kar Dayimi Rahmat me rahna Chahe to Wo Zuban se ho ke Dil se Yahi kahe ke :
“MAI ALLAH SE DARTA HOON”
To isha Allah Burayi se Hifazat aur Jannat ki Zamanat dono Naseeb hojayengi..insha Allah.
Allah hame Nek Taufeeq naseeb kare..Ameen Ya Rabbi…
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site …
www.anwaarulislam,com.

You might also like