DARSE JAMIUT TIRMIZI

 

CHAPTER : SALAH(JUMAH), DAY :144,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya: Jab Khateeb Khutbah Dete rahe to Tum Khamoosh raho,aur agar tum kisi ko Ye kahe ke “KHAMOOSH RAHO” to khutbah je dauran aysa kahna bhi”NA MUNASIB” kahlata hai.
(Vol/1,H,No:514),
Dars: To is se maloom huva ke Khutba e jumah ki kitni Ahammiyat hai,to us khutba ka Sun na Wajib hai,
☆☆Khutbah ke dauran Baat Na karne ki wajah ye hai,ke Ye Khutbah Sunna Bhi Ek Ibadat hai,to isko Ghaur se sunna chahiye..
●●Baaz log Khutbah chod kar Jumah ki Namaz me hazir hote hai,to ayse log Gunhagar kahlate hai,kyu ke wo wajib ko chod rahe hai.
Allah sabko Nek taufeeq de..Ameen.
Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like