DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 690,Hadees No :2572,

Hazrat Ma’mar (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,ke Ek Shaks Khade hokar Ek Badsha Ki Tareef karne laga,to Hazrat Miqdad(raziyallahuanhu) uske Mooh per Mitti dalne lage to sab ne Wajah poochi to aapne kaha,Rasool e Akram 
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Jhooti Tareefe kare to uske Mooh per Mitti daal do.
(Vol/2,Hadees No :2572),
Dars : Insaan agar Waqayi koi Acha kaam kare jis se sabka faidah ho to uski Tareef karne ki ijazat hai,taake uski Himmat Afzayi hosake,aur Agar koi Bura kaam kare jis se sabko Noqsan ho to usko Alag se Bulakar uski taraf Nashandahi karne ki taleem di gayi hai,
Aur Jo koi Acha Kaam hi na kare jaise Badsha,Hakim,aur Siyasi Leaders (Policians) etc..hote hain,agar unki Jhooti tareefe jo bhi kare to usko chahiye ke wo Inki tareefe karne se ruk jaye aur wo Na ruke to uako Roka jaye kyu ke ye khula Jhoot hai,aur khula jhoot bola jaye aur us se usko Roka bhi Na jaye to uska Azab wa iflasi sab per Nazil hogi..!!
■■ Jhooti tareefe karne se saamne wala Khush Fahmi rah jayega aur us se jhoot aur Gunah per Madad karna bhi lazim ayega,jabke islam me jhoot aur Gunah me madad se roka gaya hai.
Allah hame Neko ki midhat aur Buro ki Mazammat karne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…
www.anwaarulislam,com.

You might also like